Powered By Blogger

Monday 4 July 2011

SAMAJIK ASAMANTA BADA RAHI HEA APRADHON KO

SAMAJIK ASAMANTA BADA RAHI HEA APRADHON KO _ASHWANI BHATIA

Aj samaj mein apradhon ki badh si aa gai hea.Samaj mein badti asamanta ke karan logon mein ek dusare ke perti badle or nafrat ki bhawna badti ja rahi hea.Ek taraf aise log hein jo apne pariwar ke liye 2 waqt ki roti bhi mushkil se juta pa rahe hein vanhi dusri or aise logon ki jmat bhi hea jo lakhon-kroron ek hi din mein aiyashi mein uda dete hein. Es samajik asamanta ke karan hi aaye din apradhon ki vardaten badti ja rahi hean .Jab tak sarkar es asamanta ko nahi mitati tab tak samaj mein shanti esthapit nahi ho sakti lekin sarkar ki nitiyan aisi hein ki asamanta ghatne ki bjay or badti ja rahi hea agar samay rahte es or sarkar ne dhiyan nahi diya to aage chalkr eske or bhi bhyank parinam dekhne ko mil sakte hein.Afsos ki bat hea ki dharam or samaj ke katit thekedar bhi es or se apni aankhen band kiye huye hein.

Saturday 2 July 2011

Lokpal-Nahi-Lokmal: JANTA KI JEB PER DAKA DAL RAHI HEA UPA SARKAR

Lokpal-Nahi-Lokmal: JANTA KI JEB PER DAKA DAL RAHI HEA UPA SARKAR: "Kender mein chal rahi UPA sarkar ne apna sara dhiyan logon kijeb ko khali karne per laga rakha hea /Patrolium padarthon or anye vastuon ke ..."

JANTA KI JEB PER DAKA DAL RAHI HEA UPA SARKAR

Kender mein chal rahi UPA sarkar ne apna sara dhiyan logon
kijeb ko khali karne per laga rakha hea /Patrolium padarthon
or anye vastuon ke damon ko aasman mein pahuncha chuki
  manmohan sarkar abhi bhi logon ko di janewali subsidi ka
rona rone mein lagi hea /Desh ko vikas ki rah per andhadhundh
dodane wale UPA sarkar ke karta- dharta yah bhi sochne ki
zaroort mahsoos nahi kar rahe ki vikas ki es andhi dod mein
aam admi to kab ka pichhe choot chuka hea /

Sunday 10 April 2011

Lokpal nahi lokmal

netaon ko lokpal nahi "lokmal chahiye
ye varg apne ko jansewak nahi dhan-
sewak mante hean esiliye sar desh ki
dhan -sampada ko apana samajhkar 
dono hathon se lootane mein lage 
huye hen."bharashtachar ki daldal 
men akanth duba bharat hi gandhi
ka"'ramraj"or nehru ke sapano ka
bharat hea?